Imam Jaffer Sadiq AS ne farmaya: Jo Sawaal karnay men kamzor ho Uss ka ILM bhi kamzor hota hai (Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 8 Safha 424, Asool e Kaafi)
Imam Jaffer Sadiq AS ne farmaya: Apnay Gharon men kabootar rakha karo kyun k ye Imam Hussain AS k qaatilo’n par Laanat karta hai (Masaail u Shariya Sanad Yaafta Ayatullah Ali Mishkeeni Tarjuma Wasaail u Shia Jild 8 Safha 320...
Imam Jaffer Sadiq AS ne farmaya: Muhammd (S.A.W), Ali AS, Fatima AS, Hassan AS, Hussain AS wo sub kuch jaantey hen jo Khuda ne paida kya hai aur isey adam se wajood ata kya hai. Ye aasmanon, zameenon, paharon, saharaon aur daryaon k khazana daar hen. Paharon k wazan, daryaon k pani ki miqdar, nehron aur chashmon ki taadaad se waqif hen. Koi aisa pata kisi darakht se nahi girta jis ka ilm in k paas na ho. Zameen ki taareekiyon men har daaney ka ilm rakhtey hen aur koi ku...
Hazoor S.A.W.W se sawaal kya gya k zamana e ghaibat e Mehdi AS men Mehdi AS k wajood ka kya faida hai to Hazoor S.A.W.W ne farmaya “is zaat ki qasam jis ne mujhey Nabuwat k saath mab’oos kya loge is ki qayadat aur paishwaae k noor se is tarah faida uthaaen gay jis tarah wo baadlon ki oat men chupay sooraj se mustafeed hotey hen”(Sfha 31 Falsafaey ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Z...
Imam Muhammad Baqir AS ki khidmat men Aap k Aik Shia Maalik e Jahni Haazir huay aur Imam AS se kaha: "Khudaawand e Aalam ne Aap ko kaisi Azmat O Buzargi Ataa Farmaaee hai k Aap ko Apni Makhlooq par Apni Hujjat Qaraar Diya hai". Ye Sun Kar Imam AS Muskuraaey aur Farmaya "Aey Maalik e Jahni Maamla to Iss se bhi Buhat Zyaada Buland hai Jo Tum Samajh Rahay ho" : Ref Biharul Anwaar Urdu Hisa 4 Safha 54 Hazrat Muhammd S.A.W ne farmaya: Jab qayamat ka din...