All In One Shia Site

Useful Knowledge For Shia and Sunni Muslims

Recent Stuff

Some Ayat in Roman Urdu For SMS

Posted on August 19, 2010 at 1:50 PM

 

Beshak Allah ne Adam aur Nooh aur Aal-e-Ibraheem aur Aal-e-Imran ko tamam jahanon par chun lia hai. Ye aik doosrey ki nasal men se hen aur Allah sub kuch sunney wala aur jaanney wala hai (Sura Aal-e-Imran Ayat 33, 34)
(Logo) jab tak Khuda napaak ko paak se alag nahi kar daiga momino ko is haal men jis haal men tum ho har giz nahi rehney de ga aur Allah tum ko ghaib ki baton se bhi mutl’aa nahi karey ga albata Khuda apney Paighambaron men se jisey chahta hai intekhab kar laita hai to tum Khuda par aur us k Rasulon par imaan laao aur agar imaan laogey aur parhaizgaari karogey to tum ko ajr-e-Azeem miley ga (Sura Aal-e-Imran Ayat 179)
hum ne tumhari taraf is tarah wahi bheji hai jis tarah Nooh aur in se pichley paighambaron ki taraf bheji thi. Aur Ibraheem aur Ismaeel aur Ishaaq aur Yaqoob aur Aulad-e-Yaqoob aur Isaa aur Ayub aur Yunas aur Haroon aur Suleman ki taraf bhi hum ne wahi bheji thi aur Daood ko hum ne zaboor bhi inayat ki thi. Aur buhat se paighamber hen jin k halaat hum tum se pehley bayan kar chukey hen aur buhat se paighamber hen jin k halaat tum se bayan nahi kiay aur Moosa se to Khuda ne baten bhi keen. Paighambaron ko khuskhabri sunaney waley aur daraney waley (bana kar bheja tha) taakey paighambaron k aaney k baad logon ko Khuda par ilzaam ka moka na rahey aur Khuda ghalib hikmat wala hai (Sura Nisa Ayat 163,164,165)
Allah Taalaa ki raah mein kharch karo aur apney haathon halakat mein na paro aur sulook-o-ehsan karo Allah Taalaa ehsan kerney walon ko dost rakhta hai.(Sura Baqra Ayat No 195)
Tum jitna kuch kharch karo (yani khairaat) aur jo kuch mannat maano ussay Allah Taalaa bakhoobi janta hai aur zalimon ka koi madadgar nahi.(Sura Baqra Ayat 270)
Jin logon ney neki ki hai un kay wastay khoobi hai aur mazeed izafa bhi hai aur un kay chehron per na siayahi chaaye gi aur na zillat. yeh log jannat mein rehney walay hain woh is mein hamesha rahen gay.(Sura yunas ayat 26)
Allah Taalaa adal ka bhalaee ka aur qarabat daron kay sath naik salook kerney ka hukum deta hai aur bey hayaee kay kaamon, na-shaista herkaton aur zulm-o-ziyadti say rokta hai. woh khud tumhen naseehaten ker raha hai kay tum naseehat hasil karo.(Sura Nahal ayat 90)
Jo log apna maal Allah Taalaa ki raah mein kharch kertay hain phir us kay baad na to ehsan jatatay hain aur na ezza (takleef) detay hain un ka ajar un kay Rab kay paas hai, un per na to kuch khof hai na woh udas hongay.(Sura Baqra ayat no 262)
Naram baat kehna aur maaf ker dena us sadqay say behtar hai jis kay baad ezza rasani (takleef di jaey) ho aur Allah Taalaa bey niaz aur burdbaar hai (Sura baqra ayat no 263)
Aey eman walon apni khairaat ko ehsan jata ker aur ezza phoncha ker barbad na kero! Jiss tarah woh shaks apna maal logon kay dikhaway kay liye kharach keray aur na Allah Taalaa per eman rakhay na qayamat per uss ki misal uss saaf pathar ki tarah hai jiss per thori si mitti ho phir uss per zor daar meenh barsay aur woh issay bilkul saaf aur sakht chor dey inn riya kaaron ko apni kamaee mein say kuch cheez haath nahi lagti aur Allah Taalaa kafiron ki qom ko (seedhi) raah nahi dikhata. (Sura baqra ayat no 264)
Wohi to hai jis ney aftab ko roshan aur chand ko munawar banaya aur chand ki manzilen muqarrar kin takay tum barson ka shumar aur (kamon ka) hisab maloom karo. Ye (sab kuch) Khuda ne tadbeer se paida kya hai. Samajhney walon k liay wo apni ayaten khol khol kar bayan karta hai (Sura Yunas Ayat 5)
Yaqeenan hum ney aasman mein burj banaye hain aur dekhney walon kay liye usay saja diya hai.Aur issay her mardood shaitan say mehfooz rakha hai. (Sura Hijr Ayat 16,17)
Aur Usi ney tumharey liay raat din aur sooraj chand ko kaam men lagaya aur Usi k hukm se sitaray bhi kaam men lagey huay hen. Samajhney walon k liay is men (Qudrat-e-Khuda ki buhat si) nishaniyan hen (Sura Nehal Ayat 12)
Wohi to hai jis ney raat aur din aur sooraj aur chand ko paida kya hai. Ye sub asmaan men (apney apney madaar mein) tair rahey hain. (Sura Anbia Ayat 33)
Aur Hum ney tumharay upper saat aasman banaye hain aur hum makhlooqaat say ghafil nahi hain (Sura Mominoon Ayat 17)
Aur sooraj kay liye jo muqarrara raah hai woh usi per chalta hai yeh Ghalib o Daana Khuda ki muqarrar kerda hai. Aur chand ki hum ney manzilen muqarrar ker rahkhi hain yahan tak kay wo loat kr purani tehni ki tarah hojata hai.Na aftab ki yeh majaal hai kay chand ko ja pakray aur na raat din per aagay barh janey wali hai aur sab apney daaerey men tair rahey hen (Sura Yasin Ayat 38-40)
Is (Khuda) ney saat aasman upper talay banaey (to aey dekhnay walay) kya tu Rehman ki khilqat mein koi bey-zaabtagi dekhta hai. Dobara (nazren daal kar) daikh kiya (aasmaan men) tujhey koi shigaaf nazar aata hai. Phir dobara dekh teri nigah teri taraf zalil (o-aajiz) ho kar thaki hui loat aayegi.(Sura Mulk Ayat 3-5)
Aey Rasul jo kuch bhi aap ki taraf aap kay Rab ki janib say nazil kiya gaya hai phoncha dijiye. Agar aap ney aisa na kiya to aap ne Us (Khuda) ka paigham puhanchaya hi nahi aur Allah logon say aap ki hifazat khud farmaey ga be-shak Allah kafiron ko hidayat nahi deta. .(Sura Maaeda Ayat 67)
Deen men koi zabardasti nahi, hidayat gumrahi say alag ho chuki hai is liye jo shaks Khuda kay siwa doosray maboodon ka inkar ker kay Khuda per eman laey us ney mazboot rassi ko thaam liya jo kabhi na tootay gi aur Khuda sunney wala janney wala hai (Sura Baqra Ayat 256)
Kya tu ney usay nahi dekha jo saltanat paa ker Ibrahim say us kay Rab k baray mein jhagar raha tha jab Ibrahim ney kaha maira Rab to wo hai jo zinda krta aur maarta hai wo kehney laga mein bhi zinda krta aur maarta hun ibrahim ney kaha Khuda suraj ko mashriq say nikalta hai tu isay maghrib se nikaal. Ab to wo kafir bhoncka reh gaya aur Khuda zalimon ko hidayat nahi deta (Sura Baqra Ayat 258)
Aur agar tmhara Rab chahta to tamam loge imaan laatey to kya tum logon per zabardasti karna chatay ho k wo momin ho jaaen. Halan kay kisi shaks ka imaan lana Khuda kay hukm kay baghair mumkin nahi. Aur Khuda bey aqal logon per azaab daal daita hai. (Sura Yunas Ayat 99 100)
Wo Allah hi hai jo tumhen bijli ki chamak daraney aur umeed dilaney kay liye dikhata hai aur bhaari bhaari baadlon ko paida kerta hai. (Sura Raad Ayat 12)
Aur wohi hai jo logon k na umeed hojaney kay bad barish barsata hai aur apni rehmat phaila daita hai. Wohi hai kaar saaz aur qabil-e-hamd-o-sana. (Sura Shura Ayat 28)
Pas (aey rasool) aap kay pass ilm aajaney kay baad jo shaks Issa k maamley men aap se jhagra krey to aap keh den kay aa jao hum (mil kar) apney baiton ko aur tmharey baiton ko aur apni aurton ko aur tmhari auraton ko aur apni jaanon ko aur tmhari jaanon ko bula laity hen. Phir hum mubahila kartey hen aur jhooton per Allah ki laanat bhejtey hen. (Sura Aal-e-Imran Ayat 61)
Aur Khuda ki raah men marney walon ko murda mat kaho woh zinda hain lekin tum nahi samajhtay. (Sura Baqra Ayat 154)
Jab farishton ney kaha aey Marium! Khuda tujhay apney aik kalmay ki khushkhabri daita hai jis ka naam Maseeh Essa ibn Marium hai jo duniya aur aakhirat mein zee izzat hai aur wo meray muqarrabeen mein say hai. Wo logon say apney gehwaray mein baatain karay ga aur bari umar mein bhi aur woh naik logon mein say hoga. (Sura Aal e Imran Ayaat 45 46)
(aey Rasul) So qasam hai teray perwerdigar ki! Yeh momin nahi ho saktay jab tak kay tamam aapas kay ikhtilaf mein aap ko haakim na maan len. phir jo faisla aap in mein ker den in say apney dil mein kisi tarah ki tangi aur na khushi na payen aur farmanbardari kay sath qabool kerlen (Sura Nisa Ayat 65)
Pus jo log duniya ki zindagi ko aakhirat kay badlay baich chukay hain unhen Allah Taalaa ki raah mein jihad kerna chahaiye aur jo shaks Allah Taalaa ki raah mein jihad kertay huye shahdat paa ley ya ghalib aajaye yaqeenan hum ussay bara sawab inayat farmayen gay.(Sura Nisa Ayat 74)
Jo shaks kissi neki ya bhalay kaam ki sifarish keray usay bhi us ka kuch hissa milay ga aur jo buraee aur badi ki sifarish keray us kay liye us mein say aik hissa hai aur Khuda her cheez per qudrat rakhney wala hai. (Sura Nisa Ayat 85)
Jo shaks koi buraee keray ya apni jaan per zulm keray phir Khuda say istaghfaar keray to woh Khuda ko bakshney wala meharbani kerney wala payega.(Sura Nisa Ayat 110)
Allah Taalaa tumhen saza dey ker kiya keray ga? Agar tum shukar guzari kertay raho aur ba eman raho Allah Taalaa boht qadar kerney wala aur poora ilm rakhney wala hai.(Sura Nisa Ayat 147)
Ya ye logon say hasad kertay hain is per jo Khuda ney apney fazal say unhen diya hai pus Hum ney to aal-e-ibrahim ko kitab aur hikmat di hai aur bari saltanat bhi ata farmaee hai. (Sura Nisa Ayat 54)
Yaqenan ye (Quran) aik buzrug Rasool ka bataya hua hai. Jo qoowat wala hai arsh waly (Allah) kay nazdeek buland martaba hai. Jis ki (asmanon mein) itaa’t ki jati hai (aur wo) ameen hai.
(Sura Takweer Ayaat 19-21)
Aur yeh (Quran) shaitan mardod ka kalam nahi.Phir tum kahan jarahy ho.Yeh to tamam jahaan waalon kay liey nasehat nama hai.(bilkhosos) us kay liey jo tum mein say sedhi raah per chalna chahay.(Sura Takweer Ayaat 25-28)
Aey insan tujhy apnay Rab-e-karim say kis cheez nay behkaya? Jis (Rab nay) tujhy paida kiya phir thek thaak kiya phir (durust) baraber banaya. Jis soorat mein chaha tujhy jor diya.(Sura Infitaar Ayaat 6-8)
Wo (Khuda) bara bakhsish kerney wala aur bohat mohabat kernay wala hai.
(Sura barooj Ayat 14)
So wo (insaan) ghaati men se kyun nahi guzra. Aur tum kya jaano ghaati kya hai. Kisi garden (ghulaam) ko aazaad kerna. ya bhook k din men khana khilana. Kisi reshtay daar yateem ko.Ya khaaksaar miskeen ko. Phir wo un logon mein shaamil hojata jo imaan laey aur ik dosry ko sabar ki aur reham kerney ki nasihat ki. Yehi log khush naseebi waaley hen.
(Sura Balad Ayaat 11 -18)
(Aey Rasul) Tujhay Taira Rab buhat jald (inaam) daiga aur Tu raazi (khush) hojaey ga. Kya us nay Tujhay yateem paa kar jagah nahi di? Aur tujhay gum gushta paa kar manzil tak nahi puhanchya? Aur tujhay na-daar paa kar ghani nahi banaya?
(Sura Zuhaa Ayaat 5-8)
Kya tum nay us shaks ko daikha hai jo qayamat ko jhutlaata hai? ye wo hai jo yateem ko dhakkay daita hai. Aur miskeen ko khilaney ki targheeb nahi daita. To tabaahi hai Un namazion kay liye. Jo apni namazon say ghafil rehtay hen.Jo dikhawa kertay hein. Aur baratnay ki cheezen maangay nahi daitay.
(Sura Maa’oon)
Aur Hum ney Quran ko hidayat kay liye aasan kardiya hai to koi hai naseehat hasil karney waala?
(Sura Qamar Ayat 17)
Ye (Quran) baa-barkat kitab hai jisay Hum ney (Aey Rasul) aap ki taraf is liye nazil farmaya hai kay loge is ki aayaton per ghor karen aur aqalmand is say naseehat hasil karen.
(Sura Suaad Ayat 29)
Allah ki taraf rujoo kar k Us say dartay raho aur namaz ko qayam rakho aur mushrikeen main say na ho jao.
(Sura Rome Ayat 31)
(Aur) un logo main (na hona) jinhon nay apnay deen ko tukray tukray kar dya aur (khud) firqay firqay ho gaye. Sab firqay usi say khush hen jo unkay pass hay.
(Sura Rome Ayat 32)
Hidayat aur Khushkhabri hai un imaan walon k liye jo Namaz Qaim kartay, Zakat ada kartay aur Aakhrat pe Yaqeen rakhtay hain" (Sura Namal Ayat 2,3)
Musalmano! Unn logon ko dost na banao jo tumharay deen ko hansi khel banaye huye hain (khuwa) woh un mein say hon jo tum say pehlay kitab diye gaye ya kuffaar hon agar tum momin ho to Khuda say dartay raho. (Sura Maeda Ayat 57)
Daikho ye (Quran) aik nasehat hai. Jo chahay us say nasihat le. (Ye) Purazmat sahifon mein se hai. Jo buland-o-bala or pak saf hein. Aesay likhnay waalon kay haaton mein hai. Jo buzurgh or pakbaz hein. (Sura Abas Ayaat 11-16)
Jo loge imaan laye un ke dil ALLAH ke zikr se itminan hasil kartay hen. (Sun Lo!) ALLAH ke zikr se hi dilon ko Sakoon milta hy"(Sura Ra'ad Ayat 28)
Beshak jo log bin daikhey apney Rab se dartey hen un k liay bakhshish aur bara ajar hay
(Sura Mulk, Ayat 12)
Tum Wo Behtreen Qoam They Jisey Logon K Faaidey K Liye Paida Kia Gya Hai Ta K Tm Amr o Nhi Ko Anjam Do Or Khuda Pr Emaan Le Aao, Or Agr Deegar Ahl e Kitab Imaan Le Aain To Un K Liye Faida Hai, Lekn Un Main Se Thorey Hi Sahib e imaan Hain Wrna Aksr Fasiq Hain (Sura Aal e Imran Ayat No 110)
Mujremon se (poochen gay).Tumhein dozakh mein kis cheez ne daala.Wo jawab daingay ke hum namazi na thay.Na miskeeno ko khana khilatay thay.Aur hum logon k baihooda kaamon men shamil ho jaatey thay.Aur roz-e-jaza ko jhutlatay thay.Yahan tak kay humein maot agai. (Sura Mudassir, Ayaat 41-47)
Tumharay maal aur aulad tumahri aazmaeesh hain aur Allah kay paas Ajr e azeem hai. (Sura Taghabun, Ayat 15)
Mominon ko chahaiye k imaan waalon ko chor ker kafiron ko apna dost na banayen aur jo aisa keray ga wo Khuda ki kissi himayat mein nahi magar yeh k in k shar say kisi tarah bachao maqsood ho aur Khuda tumhen apney ghazab say dara raha hai aur Khuda hi ki taraf loat jaana hai. (Sura Aal e Imran, Ayat 28)
Aey imaan walo! Allah aur US k Rasool kay bulaney par haazir ho jab tumhen Rasool us cheez k liay bulaen jo tumhen zindagi bakshay gi. Aur jaan lo k Allah ka hukm aadmi aur us k dilli iradon k darmayan haayal ho jaata hai aur bila shuba tum sab ko Allah hi k pass jaana hai. (Sura Infaal, Ayat 24)
Aur is fitnay say dartey raho! Jo har giz tum men se khaas zaalimon ko na puhanchey ga aur jaan lo kay Allah sakht saza denay wala hai. (Sura Infaal, Ayat 25)
Wo jo apney gharon se na huq nikaley gaey sirf is baat par k unhon ne kaha hamara Rab Allah hai. Agar Allah logon ko aapas mein aik doosray say na hatata rehta to zaroor gira diay jaatey khaan qaahen aur kaleesa aur girjay aur masjiden jahan Allah ka naam ba-kasrat liya jata hai. Jo Allah ki madad keray ga Allah bhi zaroor us ki madad keray ga. Be-shak Khuda bari qoowaton waala baray ghalbay wala hai. (Sura Hajj, Ayat 40)
(Aey Rasul) Keh do! kay jo badla mein tum say maangoon wo tumharay liye hai mera badla to Allah hi kay zimmay hai. Wo har cheez say ba-khabar hai. (Sura Saba, Ayat 47)
Yehi woh hai jis ki bisharat Allah apney bandon ko dey raha hai jo imaan laaey aur naik aamaal kiyey to (Aey Rasul) keh do! K mein is (risalat) per tum say koi badla nahi chahta magar mairay rishteydaaron ki muhabbat k aur jo (ye) naiki keray Hum us k liye us ki naiki mein aur naiki barha den gay be-shak Allah bohat bakhshney wala (aur) boht qadardaan hai. (Sura Shura, Ayat 23)
(musalmano!) tumharay liye Hazrat Ibrahim mein aur un k sathiyon mein behtareen namoona hai jabkay unn sab ney apni qom say bar mala keh diya k hum tum say aur jin ki tum Allah kay siwa ibadat kertay ho un sab say bilkul bayzaar hain. Hum tumharay munkir hain jab tak tum Allah ki wahadaniyat per imaan na lao hum mein tum mein hamesha kay liye bughz-o-adawat zahir hogaee lekin Ibrahim ki itni baat apney baap say hui thi kay mein tumharay liye istaghfaar zaroor karoon ga aur tumharay liye mujhay Allah k samney kisi cheez ka ikhtiyar nahi. Aey humaray Parwardigaar Tujhi per hum ney bharosa kya hai aur Teri hi taraf rujoo kertay hain aur teri hi tarf lotna hai.(Sura Mumtahina Ayat 4)
Aey Ahl-e-kitab! Allah ki ayaton se kyun kufar kartey ho haalaankey tum khud gawah ho? (Sura Aal e imran Ayat 71)
Be-shak Allah Taalaa un logon say mohabbat karta hai jo us ki raah mein saf basta jihad kertay hain goya woh seesa pilaee hui diwaar hain.(Sura Saaf Ayat 4)
Aur jab in k paas koi nishani aaey to kehtay hain k hum hargiz imaan na laaen gay jab tak k hum ko bhi aisi hi cheez na di jaaey jo Allah kay Rasulon ko di jati hai. Allah khoob jaanta hai k kahaan Wo apni Risalat rakhay. Anqareeb mujrimon ko Allah k haan zillat phonchay gi aur in ki sharaaraton k badley mein sakht azaab. (Sura Inaam Ayat 124)
(Aey Rasul) Aap say pehlay bhi hum mardon ko hi bhejtay rahey jin ki janib wahee utara kertay thay pus agar tum (mushrikeen) nahi jantay to Ahl-e-ilm say daryaft karlo.(Sura Nehal Ayat 43)
(Aey Rasul) Yaqeenan Hum ney tumhari taraf haq kay sath apni kitab nazil farmaee hai taakay tum logon mein is cheez k mutaabiq faisla karo jis say Allah ney tum ko shanasa kya hai aur khayanat kerney waalon k himayati na bano.(Sura Nisa Ayat 105)
Aey nabi! Apni biwiyon say keh do kay agar tum duniya ki zindagi aur zeenat chahati ho to aao mein tumhen kuch dey dila doon aur tumhen achaee kay sath ruksat kar doon. Aur agar tumhari murad Allah aur us ka Rasool aur aakhirat ka ghar hai to tum mein say naik kaam karney waaliyon k liye Allah ney boht zabardast ajar rakha hai.(Sura Ahzaab Ayat 28, 29)
Aur jab in say kaha jata hai kay zameen mein fasaad na karo to jawaab daitay hain k hum to sirf islaah kerney waalay hain. Khabardaar ho! yaqeenan yehi loge fasaad karney waalay hein lekin sha’oor (samajh) nahi rakhtay. (Sura Baqra Ayat 11,12)
Aur jab in say kaha jaata hai k aur logon ki tarah tum bhi imaan laao to jawab daitay hen k kya hum aisa imaan laaen jaisa bewaqoof laae hain. khabardaar hojao! yaqeenan yehi bewaqoof hen lekin jaantay nahi. (Sura Baqra Ayat 13)
Aey logo! apney us Rab ki ibadat karo jis nay tumhen aur tum say pehlay k logon ko paida kya shaayad k tum muttaqi aur parhaizgaar ban jao. Jis nay tumharay liye zameen ko farsh aur aasman ko chutt banaya aur aasman say paani utaar kar us say phal paida kar k tumhen rozi di. khabardaar bawajood janney k Allah k shareek muqarar na karo. (Sura Baqra Ayat 21, 22)
Tum Allah k saath kaisay kufr kartay ho? Halankay tum murda thay Us nay tumhen zinda kiya phir tumhen maar dalay ga phir zinda karay ga phir ussi ki taraf lotaey jaao gay. Wo Allah jis nay tumharay liye zameen ki tamam cheezon ko paida kya phir aasman ki taraf qasad kiya aur un ko theek thaak saat aasman banaya aur Wo har cheez ko jaanta hai. (Sura Baqra Ayat 28, 29)
Kya logon ko bhalaai ka hukm kartay ho? Aur khud apney aap ko bhool jaatay ho baa wajood is k kay tum kitaab parhtay ho. kya itni bhi tum mein samajh nahi? (Sura Baqra Ayat 44)
Aur sabar aur namaz kay sath madad talab karo. Beshak namaaz bhaari hai siwaey un k jo dil se Mairi taraf jhuktey hen. Jo jaantay hen k beshak wo apney Rab say mulaqaat karney waalay aur ussi ki taraf loat kar jaaney waalay hen. (Sura Baqra Ayat 45, 46)
Aur jab Hum ney Moosa say 40 raaton ka waada kya phir tum ney us kay peechay se bachra poojna shuroo kar diya aur zalim ban gaey. Lekin Hum nay baawajood is k phir tumhen maaf kar dya taakay tum shukr karo. (Sura Baqra Ayat 51, 52)
Aur jab tum ney Moosa say kaha tha k jab tak hum apney Rab ko apney saamney na daikh len hargiz imaan na laaen gay jis k baad bijli ne tumhen le daala aur tum daikhtey reh gaey. Phir iss maut kay baad bhi Hum ney tumhen zinda kar dya k shaayad tum shukar guzari karo. (Sura Baqra Ayat 55, 56)
Aur jab tum ney kaha Aey Moosa! hum say aik hi qisam k khaaney (Man o Salwa) par sabr na hoga is liay apeny Rab say dua karo k Wo hamen zameen ki ugaaee saag kakri geehoon masoor aur pyaaz day. Farmaya k behtar cheez k badlay adnaa kyun talab kartay ho, achaa shehar mein jao wahan tumhari chahat ki ye cheezen milain gi. Un par zillat aur miskeeni daal di gaee aur Allah ka ghazab lay kar wo lotay. ye is liay k wo Allah ki aayaton k sath kufr kartay thay aur nabiyon ko naa haq qatal kartay thay ye un ki naa farmaniyon aur ziyadtiyon ka nateeja hai. (Sura Baqra Ayat 61)
Aur Moosa nay jab apni qoam say kaha k Allah tumhen aik gaaey zibaah karney ka hukm daita hai to unhon nay kaha hum say mazaak kyun kartay ho? Kaha k: mein aisi jihaalat say Allah ki panah maangta hun. Unhon nay kaha: Moosa dua karo k Allah hamen bata day k wo gaaey kaisi ho. Farmaya: wo gaaey na to bilkul burhiya ho na bacha bulkay darmiyani umar ki ho ab jo tumhen hukm dya gaya hai bajaa laao. Wo phir kehnay lagay k Allah se poocho us ka rang kya ho? Kaha k hukm e Khuda hai k wo zard bharak daar rang ki ho aur dekhney waalon ko bhali lagey. Wo kehney lagay aisi to buhat si gaaey hen apney Rab say kaho k kuch aur bhi bataey agar Allah ney chaha to hum hidayat walay hojaaen gay. farmaya k: Allah ka farmaan hai k wo gaaey kaam karney waali, zameen mein hal joatney waali aur kheton ko paani pilaaney waali na ho, wo tandrust aur be daagh ho. unhon ney kaha k ab theek baat laaey ho aur usey zibaah kya (jab k) wo zibaah kartey maaloom na hotay thay. (Sura Baqra Ayaat 67-71)
Jab tum ney aik shaks ko qatal kar daala phir aik doosrey pey us ka ilzaam daalney lagey aur Allah ko zaahir karna tha jo tum chupaatey thay. Hum nay kaha is gaaey ka (jo tum ne Allah ki raah men qurbaan ki hai) aik tukra maqtool k jism ko laga do. Allah yun hi murdon ko zinda kar k tumhen tumhari aqal mandi kay liye apni nishaniyan dikhata hai. (Sura Baqra Ayaat 72, 73)
Phir is k baad tumharay dil pathar jaisay bulkay is bhi zyaada sakht hogaey. Baaz patharon say to nehren beh nikalti hen aur baaz phat jatay hain to un se paani nikalta hai aur baaz Khuda k darr say gir gir partay hain aur tum Khuda ko apney aamaal say ghaafil naa jaano.(Sura Baqra Ayaat 74)
Aur jab Hum ney bani israeel say waada lya k tum Allah k siwa doosray ki ibaadat na karna aur maan baap k saath acha salook karna, issi tarah qaraabat daaron yateemon aur miskeenon k saath aur logon ko achi baatain kehna namaazen qaaeem rakhna aur zakat daitay rehna lekin thoray say logon k ilaawa tum sab phir gaey aur mun moar lya.(Sura Baqra Ayaat 83)
Aur jab Hum ney tum say waada lya k aapas men khoon na bahaana aur apnon ko apni bastiyon se na nikaalna tum ney iqrar kya aur tum is k gawaah ho. Lekin phir bhi tum ney aapas mein qatal kya aur aapas k aik garoh ko jila watan bhi kya aur gunah aur zyaadti k kaamon mein in k khilaaf doosray ki taraf daari ki. Agar wo qaidi ho kar tumharay pass aaen to tum un k badlay de kar chura laitay ho lekin in ka nikaalna to tum per haraam tha. kya baaz ahkaam par imaan rakhtay ho aur baaz k saath kufr kartay ho? Tum mein say jo bhi aisa karay us ki saza is k siwa kya ho k dunya mein ruswaee aur qayamat k din sakht azaab ki maar aur Khuda tumharay aamaal say be khabar nahi(Sura Baqra Ayaat 84, 85)
(Aey Rasul) Agar wo aap ko dhoka daina chahen to beshak Allah aap ko kaafi hai Wohi hai jis ne aap ko zoar dya apni aur momineen ki madad ka (Sura Anfaal Ayat 62)
Tafseer Ahlesunnat Tafsir Dur-e Mansoor Jild 3 is ayat ki tafseer men Jalal-U-Deen Sayooti likhtey hen” Arsh par likha hua hai Meray siwa koi maabood nahi, Mein yakta hun Maira koi shareek nahi Muhammad Meray banday aur Rasul hen Men ne Ali k saath in ki taaeed (madad) ki hai”. Is k baad unhon ne 10 fuqaahaey Ahlesunnat k naam likhey hen jinhon ne is baat ki tasdeeq ki hai.
Aur jaldi kro apny Rab ki Maghfirat aur Jannat ki taraf, jiski chaurai Aasmaan aur Zameen (k brabar) hai aur Perhaizgaaron k liye tayyar ki gai hai (Sura Aal-e-Imran Ayat 133)
Jis din Hum har garoh e insaani ko us k Imaam k saath bulaaen gay. Phir jin ka bhi aamaal naama daaen haath mein dya jaaey ga wo isey parhen gay aur in par raisha (zar’ra) barabar bhi zulm nahi hoga. (Sura Bani Israil Ayat 71)
Ay Imaan waalo! Allah se (aisay) daro jaisa k Us se darnay ka haq hai aur har giz na marna magar musalmaan
(Sura Ale Imraan: Ayat 102)
Pus jahaan tak tum say ho sakay Allah say dartay raho aur suntay aur maantay chalay jao aur Allah ki raah mein khairaat kertay raho jo tumharay liye behtar hai aur jo shaks apney nafs k laalach say mehfooz rahay wohi falaah paaney waala hai. (Sura Taghaboon Ayat 16)
(Pakistan k mukhtalif ilaaqon se doosri qoamon ko nikaalnay waalon k liay ALQURAN)
Lekin phir bhi tum ne aapas mein qatal kya aur aapas k aik garoh ko jila watan bhi kya aur gunah aur ziyadti k kaamon men in k khilaaf doosray ki taraf daari ki, haan wo jab qaidi ho kar tumharay pass aaey to tum ney un ka badla de kar chura liya lekin in ka nikaalna to tum par haraam tha (us ka kuch khayaal na kya) kya baaz ahkaam par imaan rkhtay ho aur baaz k saath kufr krtay ho? Tum men say jo bhi aisa karay us ki saza is k siwa kya ho k dunya men ruswaee aur qayamat k din sakht azaab ki maar aur Allah tumharay aamaal say bay khabar nahi.(Sura Baqra Ayat 85)
Jo loge khushi aur gham men Allah ki raah mein kharach kartay hain, ghussa peenay walay aur logon say dar guzar kerney waalay, beshak Allah naik logon se muhabbat karta hai. (Sura Ale Imraan: Ayat 134)
(Aey Rasul) Keh do k yeh to batao k Allah ney tumharay liye jo rizq bheja is men tum ne apni taraf se halaal o haraam thairaa lya. In se poocho k tum ko Allah ney hukm dya tha ya Allah per jhoot baandhtay ho?Aur kya gumaan hai un ka jo Allah per jhoot baandhtay hain k un ka qayamat men kya haal hoga. Beshak logon per Allah ka bara hi fazal hai lekin aksar loge shukar nahi kertay. (Sura Yunas Ayaat 59,60)
kya tum Us (Allah) se be-khouf ho gaey ho? Jo aasmaan me hai k tumhen zameen me dhansa de or achanak ye zameen larazney lagey (Sura Mulk Ayat 16)
aur beshak Hum ne naseehat k baad Zaboor main likh dia hai k hamari zameen k Waaris hamarey naik bande hon gey (Sura Anbiya Ayat 105)
aur jab tmhen salaam kia jae to tm uska behtar jawab do ya unhi alfaz ko louta do,beshak Allah har cheez ka hisab lene wala hay (Sura Nisa Ayat 86)
Tum man se aik garoh (jamat) aisa hona chahye jo Naiki ki tarf bulaaen aura chi baat ka hukm den aur buri se roken aur yehi loge muraad ko puhanchay (Sura Aal e Imran Ayat 104)
Aur jo loge kafir hen un k liye dozakh ki aag hai na to un ki qaza hi aaey gi k mar hi jayen aur na dozakh ka azaab hi un say halka kiya jayega. Hum har kafir ko aisi hi saza detay hen. Aur wo loge is men chilayen gay aey humaray Parwardigar! Hum ko nikal ley hum achay kaam karen gay bar-khilaaf un kaamon k jo kiya kertay thay (Allah kahey ga) kya Hum ney tum ko itni umar na di thi k jis ko samjhna hota wo samajh sakta aur tumharay pass daraaney waala bhi phoncha tha so maza chakho k (aisay) zalimon ka koi madadgaar nahi (Sura Fatir Ayaat 36, 37)
beshak Allah nazron ki khyanat ko bhi jaanta hai aur un baton ko bhi jo seenon man chupa rakhi hen (Sura Momin Ayat 19)
Beshak! jinhon ne kaha hamara Rab Allah hy phr is baat pe sabit qdm rhy unpe na to (Jhanam ka) koi Dar hy aur na wo (baroz e qiayamat) Ghamgeen hongey, wo log Jannat waaley hain, jahan wo hamesha rahen ge, ye Janat badla hy un k Naik kaamon ka jo wo kia krty thay.(Sura Ah'Qaaf Ayaat 13,14)
Jo Allah aur Aakharat pe yaqeen rakhta hai us ke liye Rasool Allah ki zaat behtareen namona hai (Sura Ahzaab Ayat 21)
Aur martay dam tak apnay RAB ki Ibadat karo (Sura Hijar Ayat 99)
Bastiyon walon ka jo maal e ghaneemat Allah ne dilwaya woh Allah ka hai aur Rasool ka aur qarAabat walon ka aur yateemon miskeenon ka aur musafiron ka hai takay tumharay ghaniyon k haath men hi ye maal gardish kerta na reh jaye aur tumhen jo kuch Rasool dey ley lo aur jis say rokay ruk jao aur Allah say dartay raha karo, yaqeenan Allah sakht azab denay wala hai. (Sura Hashar Ayat 7)
Paighamber apni khuwahish se nhi boltay, wo jo boltay hen wo to Allah ki nazil krda Wahi hy (Sura Najam Ayat 3,4)
(Aey Rasool) Keh do! k agar tum Allah say mohabbat rakhtay ho to meri itebaa karo Allah tum say mohabbat keray ga aur tumharay gunah moaf farma dey ga aur Allah bara bakshney wala meharban hai. (Sura Aal e Imran Ayat 31)
Aur Allah tum par apni Rehmat se rujoo karna chahta hai, Jo loge khauwahishat e nafs k pairo hain wo chaahtay hain k tum (Imaan waaly) raah e raast se buhat door hat jao (Sura Nisa Ayat 27)
Aur yaad rakhna (Aey Nabi ki bivio) Allah ki ayaton aur Hikmat ko jo tumhary ghar man Tilawat ki jati hain. Beshak Allah har baareeki jaanta khabardaar hai (Sura Ahzaab Ayat 34)
Aur jo log Hamari rah man (Jihaad) koshish karty hain to Ham zaroor unko apny raston ki taraf hidayat karty hain Aur Allah Pak Naik o kaaron k saath hai (Sura Ankaboot Ayat 69)
Aey ahl-e-kitab! Tumharay paas hamara Rasool aa chuka hai jo tumahray samney kitab-ullah ki bakasrat aisi baaten zahir ker raha hai jinhen tum chupa rahey thay aur boht si baaton say dar guzar kerta hai, tumharay paas Khuda ki taraf say noor aur wazeh kitab aa chuki hai.(Sura Maeda Ayat 15)
Allah Taalaa unhen hidayat daita hai jo Allah ki marzi par chala salamti ki raah par aur apney hukm say andheron say nikal ker noor ki taraf laata hai aur raah-e-raast ki taraf un ki rehbari kerta hai (Sura Maeda Ayat 15)
Ye Rasool hen jin men Hum ne baaz ko baaz pr fazilat di, in men say baaz wo hen jin say Khuda ne kalaam kya aur koi wo hai jisey darjon buland kya.Hum ne Issa bin Marium ko moajzaat ataa farmaye aur paak rooh say us ki taeed ki. Agr Khuda chahta to us k baad aaney walay daleel aaney k baad hargiz aapas men na lartay lekin un logon ne ikhtilaf kya, baaz to momin huye aur baaz kafir aur agr Khuda chahta to ye aapas men na lartay lekin Khuda jo chahta hai kerta hai. (Sura Baqra Ayat 253)
Aey iman walo jo Hum ne tumhen dey rakha hai us men say Allah ki raah men kharach karo is say pehlay k wo din aaey jis men na tijarat hai na kafiron k liay dosti aur shifaat aur kafir khud hi zalim hen. (Sura Baqra Ayat 254)
Allah k siwa koi Maabood nahi JO zinda hai sab ka thamney wala, JISAY na oongh aaye na neend US ka hai jo kuch aasmaan aur zameen men hai. Kaun hai jo US ki ijazat k bghair US k saamney sifarish kr skay, WO jaanta hai jo in k saamney hai aur jo in k peechay aur wo IS k ilm men say kisi cheez ka ahaata nhi kr sktay mgar jitna wo chahay US ki kursi men samaaey huay hen zamin-o-aasman aur WO in ki hifazat say na thakta na uktaata hai WO to boht Buland aur boht Bara hai. (Sura Baqra Ayat 255)
Deen men koi zabardasti nhi, hidayat gumrahi say juda ho chuki hai is liye jo shaks Khuda k siwa doosray maboodon ka inkaar kr k Khuda pr imaan laaey us ne mzboot karay ko thaam liya jo kabhi na tootay ga aur Khuda sunney waala janney waala hai. (Sura Baqra Ayat 256)
Imaan laaney waalon ka Waali Allah hai wo unhen andheron say roshni ki taraf nikal ley jata hai aur kafiron k auliya shayateen hen. Wo inhen roshni say nikal ker andheron ki taraf ley jatay hen ye loge jahannumi hain jo hamesha isi men paray rahen gay (Sura Baqra Ayat 256)
Ye hikmat ki kitab (Quran) ki ayaten hen naik logon k liye Hidayat or Rehmat jo namaz ki pabandi Krtey or Zakat Daitey or Akhirat ka yaqin rakhtey hen yehi Apne RAB (ki taraf) Se Hidayat pr hain Or Yehi nijat paaney waaley hen
(Sura Luqman Ayaat 2-5)
Aey Imaan waalo Allah ka zikar kasrat se kero.Aur subha-o-shaam US ki pakeezgi bayaan karo.Wohi hai jo tum per darood bhejta hai aur uss kay farishtay takay woh tumhen andheron say ujalay ki taraf ley jaye aur Allah momino per boht hi meharbaan hai. (Sura Ahzaab Ayaat 41-43)
us shaks ki tarah jis ka guzar us basti say hua jo chatt k bal ondhi pari thi.wo kehney laga maut k baad Khuda isay kis tarah zinda kray ga. To Khuda ne usay maar dya 100 saal k liye phr usay uthaya,poocha kitni muddat tujh pe guzri,kehney laga 1 din ya din ka kuch hisa,farmaya tu 100 saal tk soya raha,ab tu apney khaney peenay ko dekh bilkul kharab nhi hua aur apney gadhay ko bhi dekh.Hum tjhay logon k liye 1 nishani bnatay hen,tu dekh k Hum hadiyon ko kis tarah uthatay hen phr un pr gosht charhatay hen, jab ye sb zahir ho chuka to kehney laga mein janta hun k Khuda her cheez pr Qadir hai.(Sura Baqra Ayat 259)
Aur jb Ibrahim ne kaha aey meray Parwardigar! Mujhay dikha Tu murdon ko kis tarah zinda kray ga, farmaya kya tumhen imaan nahi,Jawab dya imaan to hai lekin meray dil ko taskeen ho jayegi, farmaya 4 parinday lo,un k tukray kr dalo,phr har pahaar pr in ka aik aik tukra rkh do,phr inhen pukaro tumharay paas dortay huye aa jayen gay aur jaan rkho k Khuda Ghalib,hikmaton wala hai. (Sura Baqra Ayat 260)
Jo loge apna maal Khuda ki raah men kharch krtay hen us ki misal us daaney jaisi hai jis men 7 baaliyan niklain aur hr baali men 100 daaney hon aur Khuda jisay chaahay aur barha kr dey aur Khuda kushaadgi waala aur ilm waala hai (Sura Baqra Ayat 261)
Jo loge apna maal Khuda ki raah men kharch krtay hen phr us k baad na to ahsaan jatatay hen aur na ezza detay hen un ka ajr un k Rab k paas hai un pr na to kuch khof hai na wo udaas hon gay(Sura Baqra Ayat 262)
Narm baat kehna aur maaf kr daina us sadqay say behtar hai jis k baad ezza rasani ho aur Khuda Be niaaz aur Burdbaar hai (Sura Baqra Ayat 263)
Aey imaan walo apni khairaat ko ahsaan jata kr aur ezza pohncha kr barbaad na kro.Jis tarah wo shaks apna maal logon k dikhaway k liye kharch kray aur na Khuda pr imaan rkhay na qayamat pr us ki misaal us saaf pathar ki tarah hai jis pr thori si mitti ho phr us pr zor daar baarish brsay aur wo isay bilkul saaf aur sakht chor dey. in riya kaaron ko apni kamaee men say kuch cheez haath nhi lagti aur Khuda kaafiron ki qoam ko (seedhi) raah nhi dikhata (Sura Baqra Ayat 264)
Un logon ki misal jo apna maal Khuda ki raza ki talab men dil ki khushi aur yaqeen k saath kharch krtay hen us baagh jaisi hai jo oonchi zamin pr ho aur zor daar barish us per barsay aur wo apna phal dugna kar lay aur agr us per barish na bhi barsay to phuwaar hi kafi hai aur Allah tumharay kaam dekh raha hai (Sura Baqra Ayat 265)
Aey imaan waalo! Apni pakeeza kamaee men say aur zamin men say tumharay liye Hamari nikali hui cheezon men say kharch karo.in men say buri cheezon k kharch krney ka irada na krna jisay tum chashm poshi k baghair khud lenay walay nahi ho. Aur jaan lo k Khuda be parwaah aur khoobiyon waala hai. (Sura Baqra Ayat 267)
Shaitaan tumhen ghurbat say darata hai aur be hayaee ka hukm daita hai aur Khuda tum say apni bakshish aur fazal ka waada krta hai. Khuda wusa’t waala aur ilm waala hai (Sura Baqra Ayat 268)
Tum jitna kuch kharch karo aur jo kuch mannat maano usay Khuda bakhoobi jaanta hai aur zaalimon ka koi madadgaar nahi. (Sura Baqra Ayat 270)
Agar tum sadqay khairaat ko zahir karo to wo bhi acha hai aur agr tum isay posheeda miskeenon ko dey do to ye tumharay haq men behtar hai. Khuda tumharay gunahon ko mita dey ga aur Khuda tumharay tamaam aamaal ki khabar rakhney waala hai (Sura Baqra Ayat 271)
(Aey Rasul Paigham pohnchana tumharey zimmay hai) inhen hidayat pr laana tumharay zimmay nahi bulkay hidayat Khuda daita hai jisay chahta hai. Aur tum jo bhali cheez Allah ki raah men do gay us ka faaeda khud pao gay. Tumhen sirf Allah ki raza ki talab k liye hi kharach kerna chaahiye, tum jo kuch maal kharch karo gay us ka poora poora badla tumhen diya jaye ga aur tumhara haq na maara jaye ga (Sura Baqra Ayat 272)
(Sadqaat k mustahiq) sirf wo ghurba hen jo Allah ki raah men roke diye gaye hen,jo mulk men chal phr nahi sktay,naadaan loge in k na maangnay ki waja say inhen maal daar khayal krtay hen tum in k chehray dekh kr andaazay say inhen pahchaan lo gay.wo logon say chimat kr sawaal nahi krtay,tum jo kuch maal kharch karo to Khuda us ka jan’ney waala hai (Sura Baqra Ayat 273)
Jo loge apney maalon ko raat din chupay,khulay Allah ki raah men kharch krtay hen un k liye un k Rab k paas ajr hai aur na unhen khof hai aur na gham (Sura Baqra Ayat 274)
Sood khore qayamat k din is tarah uthen gay jaisay shetan ne unhen chu ker paghal bana dya ho. ye is liye k ye kaha kartay thay k tijarat bhi to sood hi ki tarah hai jab k Khuda ney tijarat ko halal kya aur sood ko haram. Jo shaks apney paas aaee hui Allah ki naseehat sun kar ruk gaya to guzra hua sood ka maamla Allah ki taraf hai aur jo phir dobara (haram ki taraf) lota wo jahannumi hai. Aisay loge hamesha hi us mein rahen gay (Sura Baqra Ayat 275)
Allah, sood ko mitaata aur sadqay ko barhata hai aur Allah kisi na shukray gunehgar say mohabbat nahi karta. (Sura Baqra Ayat 276)
Beshak jo loge imaan k saath naik kaam kartay hen, namazon ko qaaem kartay aur zakaat ada kartay hen un ka ajar un k Rab k paas hai, un par na to koi khof hai na udaasi aur gham (Sura Baqra Ayat 277)
Aey imaan waalo! Allah say daro aur chor do jo sood (agar kisi ka tum par) baaqi reh gaya hai, agar tum sachay imaan waalay ho. Aur agar aisa nahi kya to Allah aur Us k Rasool say larney k liye tayyar hojao, haan agar tauba karlo to tumhara asal maal tumhara hi hai. Na tum zulm karo, na tum par zulm kiya jaey.(Sura Baqra Ayat 278,279)
Aur agar tumhara qarz daar buray haal men hai to ussay haalaat behtar honay tak mohlat do aur agar qarz maaf kar do to tumharya liye boht hi behtar hai agar tum mein ilm ho.(Sura Baqra Ayat 280)
Aur us din say daro jis men tum sab Allah ki taraf paltaaey jao gay aur har shaks ko us k aamaal ka poora poora badla diya jaaega aur un par zulm nahi kya jaey ga.(Sura Baqra Ayat 281)
Aey imaan waalo! Jab tum aapas men aik doosray say miyaad-e-muqarar par qarz ka maamla karo to isay likh lya karo.(Sura Baqra Ayat 282 Pehla Hisa)
Aur agar tum safar mein ho aur (qarz ka maamla) likhney waala na paao to rehan qabzay men rakh lo, haan agar aapas men aik doosray say mutmaen ho to jissay amaanat di gaee hai wo ussay ada kar de aur Allah say darta rahey jo uss ka Rab hai aur gawaahi ko na chupaao aur jo issay chupa le wo gunehgaar hai aur jo kuch tum kartay ho ussay Allah khoob jaanta hai (Sura Baqra Ayat 283)
Aasmanon aur zameen ki har cheez Allah hi ki hai. Tumharay dilon men jo kuch hai ussay tum zaahir karo ya chupaao, Allah us ka hisaab tum say le ga. Phir jissay chahay bakshay aur jissay chahay saza de aur Allah har cheez par Qaadir hai (Sura Baqra Ayat 284)
Rasool imaan laaya har us cheez pe jo us per Allah ki jaanib say utri aur momin bhi Allah aur Uss k farishton aur Uss ki kitabon aur Uss k Rasulon par imaan laaey. Un ka kehna hai k hum Uss k Rasulon men say kissi men tafareeq nahi kartay, hum ne suna aur itaat ki. Hum teri bakshish talab kartay hen aey hamaray Rab!, aur hamen teri taraf hi lotna hai. (Sura Baqra Ayat 285)
Allah kissi jaan ko uss ki taaqat say ziyada takleef nahi deta, jo naiki wo karay wo uss k liye aur jo buraee wo karay wo uss per hi aaey. Hamaray Rab! Agar hum bhool gaey hon ya khata ki ho to hamen na pakarna aey humaray Rab! hum par wo bojh na daal jo hum say pehlay logon pe daala tha, aey hamaray Rab! hum par wo bojh na daal jiss ki hum men taaqat na ho aur hum say dar guzar farma! Aur hamen baksh de aur hum par reham kar! Tu hi hamara maalik hai hamen kafiron ki qoam par ghalba ataa farma. (Sura Baqra Ayat 286)
Beshak Hum nay tumhen kausar ataa ki.Pus tu apney rab kay liey namaz parho aur qurbani karo. Beshak tumhara dushman hi be naam-o-nishaan rahey ga.(Sura Kausar)
Aur jo apni shahadatonpar qaim rehtey hen aur jo apni namaz ki khabar rakhtey hen yehi loge jannat k baghon men izzat o ikraam se hongey (Sura Alma'arig Ayat no 33,34,35)
Aey Rasul keh do k meray Rab ne tamam behayaai ki baaton Ko, jo zaahir kar ke ki jayen ya chupa kar (ki Jayen) haraam qarar dia hai aur har gunah ki baat ko aur na haq kissi per zulm karney ko aur is baat ko k tum Allah k saath shareek thehraao jiss ki Allah ne koi sanad nazil nahi ki aur iss baat ko k tum loge Allah par aisi baat laga do jiss ko tum jantay nahi. (Sura Aaraaf Ayat no 33)
Jo Apne Rab k samnay kharay honay se darta aur nafs ko khwahishaat se rokta raha uska thikana Jannat hai" (Surah Naziaat Ayat 40-41)
Kya insan ye khayaal karta hai k Hum uss ki hadiyan jama nahi karen gay.Haan zaroor Karen gay, Hum to Qaadir hen k uss ki (ungliyon ki) por por tak durust (jama) kar den (Sura Qayamat Ayat 3-4)
Aur aasmaan ko Hum ne apnay haathon se banaya hai aur beshak Hum (hi) issay wusa’t denay waalay hen (Sura Zaariyaat Ayat 47)
(Aey Rasul) Jo kitab tumhari taraf wahee ki gaee hai ussay parho aur namaz qaaem karo. Beshak namaaz be hayaee aur buraee say rokti hai. Be-shak Allah ka zikr sab se bara hai aur Allah jaanta hai jo kuch tum kartay ho (Sura Ankaboot Ayat 45)
Allah Wo hai jiss kay siwa koi Maabood nahi. Jo zinda aur sab ka nigehbaan hai. (Sura Aal e Imran Ayat 2)
Uss (Allah) ne (Aey Rasul) tum per sachi kitab nazil farmaae jo pichli kitabon ki tasdeeq karti hai aur Uss ne is say pehlay Toraat aur Injeel utaraeen (jo) iss say pehlay logon ko hidayat kerney wali bana ker aur Quran bhi Ussi ney utara jo log Allah ki aayaton say kufur kertay hain unn kay liye sakht azab hai aur Allah Ghalib hai badla lenay wala hai. (Sura Aal e Imran Ayat 3,4)
Yaqeenan Allah say zamin-o-aasman ki koi cheez posheeda nahi. Wo maan kay pait men tumhari soorten jiss tarah ki chaahta hai banata hai. Uss kay siwa koi mabood-e-bar haq nahi Wo Ghalib hai Hikmat waala hai. (Sura Aal e Imran Ayat 5,6)
Wohi Allah hai Jiss ney tum per kitab utari jiss mein waazeh mazboot aayaten hain jo asal kitab hain aur baaz mutashabeh aayaten hain. Pus jin kay dilon mein kuji hai wo to iss ki mutashabeh aayaton k peechay lag jatay hain fitney ki talab aur inn ki muraad ki justujoo k liye halankay inn ki haqeeqi muraad ko siwaye Allah k koi nahi janta aur pukhta aur mazboot ilm waalay yehi kehtay hain k hum to inn per imaan laa chukay yeh humaray Rab ki taraf say hain aur naseehat to sirf aqal mand hi hasil kertay hain. (Sura Aal e Imran Ayat 7)
Aey humaray Rab! Hamen hidayat denay kay baad humaray dil tairhay na kar day aur humen apney paas say rehmat ata farma yaqeena tu hi boht bari ataa denay waala hai (Sura Aal e Imran Ayat 8)
Aey humaray Rab! Tu yaqeenan logon ko aik din jama kerney waala hai jiss k aaney mein koi shak nahi. yaqeenan Allah waada khilafi nahi kerta. (Sura Aal e Imran Ayat 9)
Kafiron ko unn kay maal aur unn ki aulaad Allah (k azaab) say churaney mein kuch kaam na aaey gi. Wo to jahannum ka indhan hi hain.Jaisa aal-e-firaon ka haal hua aur unn ka jo inn say pehlay thay. unhon ney hamari aayaton ko jhutlaaya phir Allah ney bhi unhen unn kay gunahon par pakar liya aur Allah sakht azaab dainay waala hai. (Sura Aal e Imran Ayat 10,11)
Apney ghar walon ko namaz ki takeed karo aur khud bhi iss per saabit raho. Hum tum say rozi nahi maangtay bulkay Hum khud tumhen rozi den gay. Aakhir mein bhala perhezgari hi ka hai (Sura Tua'ha Ayat 132)
Yaqeenan tumharay liye ibrat ki nishani thi unn do jamaaton mein jo aapas men lar rahay thay. Aik jamaat to Allah ki raah mein lar rahi thi aur doosra giroh kafiron ka tha. Wo (kafir) unhen apni aankhon say apney say dugna dekhtay thay aur Allah jisay chaahay apni madad say mazboot karta hai. Yaqeenan iss mein aqalmandon k liye bari ibrat hai (Sura Aal e Imran Ayat 13)
Pasandeeda cheezon ki mohabbat logon k liye aaraasta kr di gaee hai jaisay aurten aur baitay aur sonay aur chandi k jama kiay huay khazaaney aur nishandaar ghoray aur chopaaey aur khaiti. ye duniya ki zindagi ka saamaan hai aur acha thikaana to Allah hi k paas hai. (Sura Aal e Imran Ayat 14)
(Aey Rasul) keh do! Kya mein tumhen iss (dunyawi khushi) say boht hi behatar cheez bataoon? Taqwa waalon k liay unn k Rab k paas jannaten hen jin k neechay nehrain beh rahi hen jin men woh hmesha rahen gay aur pakeeza biwiyaan aur Allah ki raza mandi hai. Sab banday Allah ki nigaah mein hain. (Sura Aal e Imran Ayat 15)
(Jannati Wo hen) Jo kehtay hen k aey hamaray Rab! hum imaan laa chukay iss liay hamaray gunaah moaaf frma aur hmen aag k azaab say bacha. Jo sabar karney walay aur sach bolnay waalay aur farmaanbardari karney waalay aur Allah ki raah mein kharch karney waalay aur (raat k) pichlay pehar men bakshish maangney waalay hen.(Sura Aal e Imran Ayat 16,17)
Allah, farishtay aur Ahl-e-ilm iss baat ki gawaahi daitay hen k Allah k siwa koi Maabood nahi aur wo adal ko qaaem rakhney waala hai uss Ghaalib aur Hikmat waalay k siwa koi ibaadat k laaeq nahi.(Sura Aal e Imran Ayat 18)
Be-shak Allah k nazdeek deen islam hi hai aur Ahl-e-kitab ney apney paas ilm aa janey k baad aapas ki sarkashi aur hasad ki bina pr hi ikhtilaaf kiya hai aur Allah ki aayaton k saath jo bhi kufr karay Allah uss ka jald hisab lainay waala hai (Sura Aal e Imran Ayat 19)
Aey Imaan Waalo Allah se Daro aur Us ski taraf waseela dhoondho. Aur Uss ki raah men Jihaad karo Iss Umeed par k falaah paao (Sura Maeda Ayat 35)
Khushki aur tari mein logon ki bad aamaaliyon k baees fasad phail gaya. Iss liye k Allah unhen unn kay baaz kartooton ka phal chakha de (bohat) mumkin hai k wo baaz aajayen.
(Sura Room Ayat 41)
Aur tumharay Rab ne farmaya mujh say dua karo mein tumhari duaon ko qabool karoon ga. Jo loge Meri ibadat say khichtay hen yaqeenan jahannum mein jayen gay zaleel ho kar (Surah Momin, Ayat 60)
Aur apnay ooper Allah ki naimat aur Uss Ahad ko yaad karo jo Uss ne tum se lia jab tum ney ye kaha k hum ney sun lia aur ataat ki aur Khabardaar Allah say dartay raho, yaqeenan Allah dilon k raaz jan’nay waala hai (Sura Maeda Ayat 7)
Agar inhen Allah per aur Nabi par aur jo Uss par nazil kya gaya hai uss par imaan hota to yeh kuffaar say dostiyaan na kertay lekin inn mein zyada tar faasiq hain (Sura Maeda Ayat 81)
Aey insan tujhy apnay Rab-e-karim say kis cheez nay behkaya? Jis (Rab nay) tujhy paida kiya phir thek thaak kya phir (durust) baraber banaya. Jis soorat mein chaaha tujhay jor’ dya (Sura infitaar 6-8)
Aur Yaqeenan tumharay saron par nighahbaan muqarar hen jo baa izzat likhnay waalay hen. Wo tumharay aamaal ko khoob jaantay hen. Beshak naik loge neamaton men hongay aur bad kaar afraad jahanum men hongay (Sura Infitaar Ayaat 10-14)
Beshak tumharay Parwardigaar ki pakar buhat sakht hoti hai. Wohi Paida karnay waala aur Dobara ijaad karnay waala hai. Wohi buhat bakshnay waala aur muhabbat karnay waala hai. Wo Saahib e Arsh e Majeed hai. Jo Chahta hai kar sakta hai (Sura Baooj Ayaat 12-16)
Apnay Buland tareen Rab k naam ki tasbeeh karo. Jis ne paida kya hai aur sahi banaya hai. Jis ne taqdeer muay’yan ki hai aur phir hidayat di hai.(Sura Aala Ayaat 1-3)
(Aey Rasul) Hum tumharay liay aasaani ka saamaan kar dain gay lahaaza Logon ko samjhaao agar samjhanay ka faaeda ho. Anqareeb Khof e Khuda rakhnay waala samajh jaaega aur bad bakht iss se door rahay ga. Jo buhat bari aag men jalnay waala hai. Phir Uss (aag) men na zindagi hai na moat. Beshak paakeeza rehnay waala kaamyaab hogaya jis ne apnay Rab k naam ki tasbeeh ki aur phir namaz parhi (Sura Aala Ayaat 8-15)
Tum Loge Dunya ki zindagi ko muqadam rakhtay ho jab k aakhirat behtar aur hamesha rehnay waali hai. Ye baat pehlay tamam sahifon men bhi mojud hai. Ibraheem k sahifon men bhi aur Moosa k sahifon men bhi (Sura Aala Ayaat 16-19)
Tum yateem ki izzat nahi kartay aur aik doosray ko miskeen ko khaana khilanay ki raghbat nahi dilaatay aur meeraas ka maal sab kha jaatay ho aur dunya k maal ko dost rakhtay ho. Yaad rakho jab zameen ko raiza raiza kar dia jaaega aur tumharay Parwardigaar ka hukm aur farishtay saf dar saf aaen gay aur Jahanum ko iss din saamnay laaya jaaega to insaan ko hosh aa jaaega lekin uss din hosh aanay ka kya faeda (Sura Fajar Ayaat 17-23)
Aey Nafs e mutma’in Apnay Rab ki taraf palat aa, iss aalam men k Too Uss se raazi hai aur Wo tujh se raazi hai. Phir meray bandaon men shaamil hoja aur meri jannat men daakhil hoja (Sura Fajar Ayaat 27-30)
Kya Hum ne iss (insaan) k liay do aankhain nahi qaraar dee’n aur zaban aur do hont bhi aur hum ne issay donon raaston ki hidayat di hai (Sura Balad Ayaat 8-10)
Aur Jin Logon ne Hamari Ayaat se inkaar kya hai wo bad bakhti waalay hen. Inhain aag men daal kar inhain har taraf se band kar dia jaaega (Sura Balad Ayaat 19,20)>Hazrat Ali AS se aik shaks ne poocha: Ye Allah baar baar apni kin ayaat (nishaaniyon) se kufar (inkaar) se mana karta hai. Hazrat Ali AS ne farmaya: “Naahn o Ayaatillah”:”Hum hen Allah ki ayaat (nishaaniyan)”(Tafseer e Furaat)
Roshan Kitab ki qasam, Hum ne iss Quran ko aik Mubarak raat men naazil kya hai. Hum beshak azaab se daraanay waalay thay. Iss raat men tamam hikmat aur amoor ka faisla kya jaata hai. Ye hamari taraf ka hukm hota hai aur Hum hi Rasulon ko bhejnay walay hen (Sura Dukhaan Ayaat 2-5)
Beshak Hum ne issay (Quran ko) Shab e Qadar men naazil kya hai aur tum kya jaano shab e Qadar kya hai. Shab e Qadar Hazaar Mahinon se behtar hai. Iss men Roohul Ameen aur farishtay Allah k hukm k saath amoor le kar naazil hotay hen. Ye raat taloo e Subah tak aman aur salaamti hai (Sura Qadar)
Till Here Website Updated
Aey Paghambar Tumharay Liay Khuda aur Wo Momineen kaafi hen Jo Tumhari Pairvi karnay waalay hen (Sura Anfaal Ayat 64)
Sun Lo Allah k Waliyon par na khof taari hota hai na gham (Sura Yunas Ayat 62)
Agar tum ko shak hai uss men jo Hum ne naazil kya hai to unn se pooch Lo Jo tum se pahlay kitab parhnay waalay hen. Beshak teray Rab ki taraf se teray paas haq aaya to tum har giz shak karnay waalon men na ho (Sura Yunas Ayat 94)
Allah k nazdeek bad tareen zameen par chalnay waalay wo bahray aur goongay hen Jo aqal se kaam nahi laitay (Sura Infaal Ayat 22)
Khums
Aur Ye Jaan Lo k tumhain Jiss cheez se bhi faaida haasil ho Iss ka paanchwaan hisa Allah, Rasool, Rasool k Qaraabat daar, yateem, miskeen aur museebat zada musaafir k liay hai. (Sura Infaal Ayat 41)
Zameen par chalnay waalay bad tareen afraad wo hen jinhon ne kufar kya aur Wo imaan laanay waalay nahi hen (Sura Infaal Ayat 55)
Jo Loge Kufar Waalay hen Wo aapas men aik doosray k madadgaar hen aur agar tum imaan waalon ki madad na karo gay to zameen men Fitna aur Azeem fasaad barpa ho jaaey ga (Sura Infaal Ayat 73)
Aur Allah Jiss ki chaahay Tauba Qabool Farmaaey aur Allah ILM aur hikmat waala hai (Sura Tauba Ayat 15)
Imaan Waalo Khabardaar, apnay baap, dada aur bhaai ko apna dost na banaao agar wo imaan k muqaabalay men kufar ko dost rakhtay hon aur Jo shaks bhi aisay logon ko dost banaaey ga wo Zaalimon men shumaar hoga (Sura Tauba Ayat 23)
Inn (Isaai) Logon ne Khuda ko chorh kar apnay Ulema, Fuqahaa aur Maseeh ibn e Maryam ko apna Rab bana liya hai. Haalaankay Unhain sirf Khuda e Waahid ki ibaadat ka hukm dia gaya tha Jiss k Ilaawa koi Khuda nahi. Wo Waahid o Be niaaz aur aur inn k mushrikaana khayaalaat se paak o paakeeza hai (Sura Tauba Ayat 31)
Buhat se (Issai) Ulema aur Faqih Logon k maal ko na jaaiz tareekay se khaa jaatay hen aur Logon ko raah e Khuda se roktay hen aur Jo loge sonay chaandi ka zakheera kartay hen aur issay raah e Khuda men kharch nahi kartay. Aey Rasool innhain dardnaak azaab ki bashaarat de den (Sura Tauba Ayat 34)
Kya Inhain khabar nahi k Allah inn k raaz e dil aur sargoshiyon ko bhi jaanta hai aur Wo saaray Ghaib ka Jaan’nay waal hai (Sura Tauba Ayat 78)
Ye Arbi (Badoo) Kufr aur Nifaaq men zyaada sakht hen aur issi qaabil hen k Allah ne Jo hukm apnay Rasool par utaaray, iss se Jaahil rahain aur Allah ILM o hikmat waala hai (Sura Tauba Ayat 97)
(Aey Rasool) Keh do k tum loge amal kartay raho k tumharay amal ko Allah, Rasool aur saahibaan e imaan, sab daikh rahay hen aur Jald hi tum Us ski taraf palta diay jaao gay jo chupa aur khulaa sab jaanta hai aur wo tumhain tumharay aamaal se baa khabar kar day ga (Sura Tauba Ayat 105)
Nabi aur saahibaan e imaan ko ye zaib nahi daita k wo mushrikeen k liay astaghfaar karain chaahay wo inn k qaraabat daar hi kyun nah on jab k ye waazay ho chukka hai k wo jahannumi hen (Sura Tauba Ayat 113)
Yaqeenan tumharay paas wo paighambar aaya hai jo tum men se hai aur Jiss par tumhari har museebat bari giraa’n guzarti hai aur Wo tumhaari nihaayat bhalai chaahta hai aur momineen k haal par shafeeq aur meharbaan hai (Sura Tauba Ayat 128)
Aur Iss (Khuda) ki taraf tum sab ko palatna hai. Ye Khuda ka sacha waada hai. Wohi khilqat ka aaghaaz karnay waala hai aur Fana k baad dobara bananay waala hai taakay inn ko jo imaan laaey aur achay kaam kiay, insaaf ka sila day. Aur Jo kaafir ho gaey hen, inn k liay to garam paani ka mashroob hai aur inn k kufr ki bina par dardnaak azaab bhi (Sura Yunas Ayat 4)
Insaan ko jab koi nuqsaan puhanchta hai to uth’tay baith’tay karwatain badaltay Hum ko pukaarta hai aur Jab Hum iss nuqsaan ko door kar daitay hen to yun guzar jaata hai jaisay kabhi kissi museebat men Hum ko pukaara hi nahi tha. Beshak zyaadti karnay waalon k aamaal yun hi unn k saamnay aaraasta kar diay jaatay hen (Sura Yunas Ayat 12)
(Aey Rasul) Aur kah do k agar Khuda chaahta to mein issay (Quran ko) tumhain na par’h k sunaata aur tmhain is ski itilaa bhi nahi karta. Aakhir Mein iss se pahlay bhi tumharay darmayaan aik muddat tak rah chukka hoon to kya tumharay paas itni aqal bhi nahi hai (Sura Yunas Ayat 16)
Qasam hai Fajar ki aur 10 raaton ki aur Juft aur Taaq (odd and even) ki aur raat ki Jab wo jaanay lagay. Beshak Inn cheezon men Qasam hai Saahib e Aqal k liay (Sura Fajar Ayaat 1-5)
Aur Allah salaamti k ghar ki taraf tum ko bulata hai aur jiss ko chahata hai raah-e-raast par chalnay ki tofeeq daita hai (Sura Yunas Ayat 25)
(Aey Rasool) Kah do k Wo kon hai Jo tum ko zameen o aasmaan say rizq phonchaata hai aur kaun tumhari samaat o bisaarat ka Maalik hai aur kon hai jo zinda ko murda say nikaalta hai aur murda ko zinda say nikaalta hai aur kon hai jo tamam kaamon ki tadbeer karta hai? Wo kahain gay k “Allah” to unn say kaho phir Uss se kyun nahi dartay. (Sura Yunas Ayat 31)
(Aey Rasool) Kah do k tumharay (banaaey huay Allah k) shareekon mein koi aisa hai k takhleeq ki ibteda kary phir (zindagi k khatam honay k baad) issay dobara lotaaey. Phir kah do k Allah hi makhlooqaat ki ibtedaa karta hai aur Wo hi inhain paltaa’ta bhi hai to tum kahan bhataktay phirtay ho. (Sura Yunas Ayat 34)
Kya woh kahtay hen k issay (Quran ko) Paighambar ne khud ghar’h liya hai to kah do k tum iss jaisa koi aik suraa hi le aao aur Khuda k ilaawa jissay chaaho apni madad k liay bula lo agar tum apnay ilzaam men sachay ho (Sura Yunas Ayat 38)
Aur inn (logon) mein say baaz aisay hain jo iss (Quran) par imaan ley aaen gay aur baaz aisay hain k iss per imaan na laayen gay. Aur tumhara Rab fisaad karnay waalon ko khoob jaanta hai. (Sura Yunas Ayat 40)
(Aey Rasool) kah do k Allah ney tumharay liye jo rizq naazil kiya, tum ney uss men bhi haraam aur halal qarar dey liya. (inn se) poocho k kya tum ko Allah ne iss ki ijaazat di thi ya Allah par jhoot baandhtay ho(Sura Yunas Ayat 59)
Aur (Aey Rasool) tum jiss haal mein ho aur Quran k kissi hisay ki tilaawat karo aur aey logo tum jo amal karo, Hum sab k nighabaan hen jab tum amal kartay ho. Aur tumharay Rab say zarra barabar koi cheez bhi posheeda nahi na zamin mein aur na aasman mein aur iss (zarray) se choti ya bari koi bhi cheez aisi nahi jo kitab-e-mubeen mein darj na ho. (Sura Yunas Ayat 61)
Aagaah ho jaao Allah k Auliyaa par na koi khof hai aur na woh gham geen hotay hain.Ye wo loge hen jo imaan laaey aur Allah se dartay rahay. (Sura Yunas Ayaat 62, 63)
Wohi (Allah) hai jiss ney tumharay liye raat banaee takay tum iss mein aaram karo aur din ko roshan banaya (taakay tum iss men kaam kar sako). Beshak iss men unn logon k liay nishaaniyaan hen jo (ghor se) suntay hen (Sura Yunas Ayat 67)
Aur Allah Haq ko apney farmaan say saabit kar daita hai chaahay Mujrim kaisa hi naa gawar samjhain. (Sura Yunas Ayat 82)
(Aey Fir’on) So aaj Hum sirf teri Laash ko bacha lain gay taakay tu apnay se baad mein aanay waalon k liay nishan-e-ibrat ho sakay aur beshak aksar loge Hamari nishaaniyon say ghaafil hain. (Sura Yunas Ayat 92)
Ab agar tum iss (kitab k baaray men) shak men ho jiss ko Hum ne naazil kiya hai to unn say poocho jo tum se pahlay kitab parh rahay hen. Be-shak teri traraf teray Rab ki taraf say sach aa gaya hai. Tum har giz shak karnay waalon mein say no ho jaana. (Sura Yunas Ayat 94)
Alif-laam-raa yeh (Quran) aik aisi kitab hai kay iss ki aayatain mohkam ki gaee hain phir saaf saaf bayaan ki gaee hain aik Hakeem Baa Khabar ki taraf say (Sura Hood Ayat 1)
(Aey Rasool kah do) Tum apney Rab say Istaghfaar karo phir Uss ki taraf mutawaja ho jaao. Wo tum ko muqarrara muddat mein bahtareen faaida ataa karay ga aur har fazeelat waalay ko uss ki fazeelat ka haq daiga aur mein tumharay baaray men aik baray din k azaab se khofzada hoon (Sura Hood Ayat 3)
Aey qoam apney Rab say Istaghfaar karo phir Uss ki taraf mutawaja ho jaao, wo aasmaan se buhat sa paani barsaaey ga aur tumhari mojuda taaqaat men taaqat ka izaafa kar daiga aur khabardaar mujrimon ki taraf mun na phair laina (Sura Hood Ayat 52)
Yaqeenan Ibrahim boht tahammul walay naram dil aur Allah ki janib jhuknay walay thay. (Sura Hood Ayat 75)
(Hazrat Shoeb AS ne apni qoam se kaha) Tum apney Rab say istaghfaar karo aur Uss ki taraf mutawajja ho jaao k beshak maira Rab bari meharbani waala aur bohat mohabbat karney waala hai (Sura Hood Ayat 90)
Woh (bad bakht) wahin (jahannum men) hamaisha rehney waalay hen jab tak aasman-o-zamin bar qarar rahain siwaaey iss kay k tumhara Parwardigaar nikaalna chaahey k Wo jo chaahay kar sakta hai (Sura Hood Ayat 107)
Imaan na laaney waalon say keh do k tum apni jaga par kaam kartay raho hum apni jaga par kaam kar rahay hen. Aur tum bhi (Qayamat ka) intizar karo aur hum bhi muntazir hain (Sura Hood Ayat 121 122)
Zameeno’n aur aasmanon ka ilm-e-ghaib Allah hi ko hai. Tamaam moaamlaat ka rujoo bhi Ussi ki jaanib hai pus tujhay Ussi ki ibadat karni chaahiye aur Ussi par bharosa rakhna chaahiye aur tum jo kuch kartay ho uss say Allah bey khabar nahi. (Sura Hood Ayat 123)
Aur Bhaut se Zammen par chalnay waalay aisay hen jo apna Rizq uthaaey nahi phirtay, Allah hi unn ko aur tum ko bhi Rizq daita hy.Wo sab ki sunnay waala aur sab k haalaat jaan’nay waala hai.(Sura Ankaboot Ayat 60)
Imaan waalo kasrat se Allah ka zikr karo (Sura Ahazaab Ayat 41)
Wohi (Allah) hai jo tum par rahmat naazil karta hai aur Uss k farishtay bhi taakay tumhain taareekiyon se nikaal kar noor ki manzil tak lay aaey aur Wo saahibaan e Imaan par buhat zyaada maharbaan hai (Sura Ahazaab Ayat 43)
Hamain yaad rakho taakay Hum tumhain yaad rakhain aur Hamara shukriya adaa karo aur kufraan e naimat na karo. (Sura Bakra Ayat 152)
Aur Wo (imaan waalay) loge barabar dua kartay rahtay hen k Khudaya hamain hamari biviyon aur aulaad ki taraf se aankhon ki thandak ataa farma aur hamain saahibaan e Taqwa ka paishwa bana day (Sura Furqan Ayat 74)
Ay Aulad e Aadam Hum ne tumharay liay Libaas naazil kia hai jiss se apnay jism ki ki satar poshi karo aur Zeenat ka libaas bhi dia hai, leken taqwa ka libaas sab se bahtar hai. Ye baat Allah ki ayaat men hai k shayad wo loge ibrat haasil karain (Sura Aa'raaf Ayat 26)
Andhay par langray per beemar per aur khud tum par koi harj nahi k tum apnay gharon say khaalo ya apnay baapon, maaon, bhaaiyo’n, bahno’n, chachaon, phoophiyon, mamoo’on, khalaon kay gharon say, ya unn k gharon say jinn ki chaabiyon k tum maalik ho ya

Categories: Some Quranic Verses (Roman Urdu) For SMS

Categories