|
Posted
on December 29, 2010 at 4:23 PM
|
|
Topic: Ali Wasi e Rasul Allah Quran aur Ahlesunnat ki kitabon ki roshni men
Shiyan e Ali par ye barson se aitraz hai k Ali AS Rasul Allah k jaansheen kaisay hen hum aaj unhi ki kitabon aur Quran ko hidayat k liay muntakhib krtey hen. Ahle Sunnat ki mustanad tareen kitabon Sahi Bukhari Kitab 5 Hadis No 56 aur Sahi Muslim Kitab 31,Hadis No 5913,5914,5915,5916 men Hazoor S.AW ka qoal hai
"Aey Ali tum ko mujh se wohi nisbat hai jo Haroon ko Moosa se thi magar ye k mairay baad koi nabi nahi" Aaen Quran se ye nisbat talash krtey hen
Sura Qasas Ayat No 34 (Hazrat Moosa ki dua) men hai "Aur mera bhai Haroon ki zabaan mujh se ziada saaf hai Tu usay bhi mera madadgar bana ker meray sath bhej k wo meri tasdeeq karey mujhay khof hai k ye sab mujhay jhutla den gay"
Sura Taaha Ayat No 29-36 (Hzrt Moosa AS ki dua) hai
"Aur mera wazir meray ghar walon men say kr de. Meray bhai Haroon ko. Tu Is say meri kamar kus de. Aur usay mera shareek kaar ker dey. Takay hum dono ba-kasrat teri tasbeeh biyan karen. Aur ba-kasrat teri yaad karain. Beshak Tu hamen khoob dekhney wala hai. Khuda ney farmaya Moosa Teri maang poori ker di gae"
aur Sura Qasas Ayat No 35 men hai
"Khuda ney farmaya kay Hum teray bhai k sath taira bazoo mazboot ker den gay aur tum dono ko ghalba den gay firaoni tum tak phonch hi na saken gay ba-sabab humari nishaniyon kay tum dono aur tumhari tabey daari kerney walay hi ghalib rahen gay. (is ki nisbat fatah Makka se di jaa sakti hai)
aur Sura Aaraaf Ayat No 142 men hai
"
. . . Aur Moosa ney apney bhai Haroon say kaha kay meray baad in ka intizam rakhna aur islaah kertay rehna aur bad nazam logon ki raaye per amal mat krna."
Phir Sura Maryam Ayat No 52, 53 men hai
Hum ney usay (Moosa ko) toor kay daaen jaanib say nida ki aur usey apna raaz kehnay ko qareeb ker liya aur apni khas meharbani say us ka bhai Haroon ataa farmaya.
Phir Sura Anbiya Ayat No 48
"Beshak Hum ney Moosa aur Haroon ko faisla dya aur noor aur parhaizgaaron ko naseehat"
aur Sura Mominoon Ayat No 45, 46,47,48 men hai
Phir hum ney Moosa ko aur us kay bhai Haroon ko apni aayaton aur roshan sanad kay sath bheja Fir'on aur us kay darbariyon ki taraf, pus unhon ney gharoor kya aur wo loge ghlaba paey huay thay. Kehney lagay kay kiya hum apnay jaisay do aadmiyon per emaan laayen. Aur in ki qoam hmari bandagi kar rahi hai. Pus unhon ney Un donon ko jhutlaya aakhir woh bhi halak shuda logon mein mil gaey (Ghor talab baat ye hai k Nabi ko apney jaisa samajhna Fir'oniyon ki nishani hai).
Phir Sura Safaat Ayat No 120,121,122 men hai
"Salaam ho Moosa aur Haroon per. Be-shak Hum naik logon ko issi tarah badlay diya kertay hain.Beshak ye donon humaray Kaamil Imaan bandon mein hen" (hum Muhammad Wa Aal e Muhammad par bhi darood bhejtey hen)
Aur Sura Yunas Ayat No 75 men hai
"Phir in payghumbaron kay baad hum ney Moosa aur Haroon ko firaon aur us k sardaron k paas apni nishaniyan dey ker bheja" aur Sura Furqan Ayat No 35 men hai "Aur beshak Hum ney Moosa ko kitab di aur us kay bhai Haroon ko us ka wazir bana diya" (Yahan daleel hai k
Hzrt Haroon ko Hzrt Moosa ka wazir Allah ne bnaya hai. Ye us aitraz ka jawab hai k shia kehtey hen k un ka Imam Allah muntakhib krta hai).
Ye tamam tarjumay Ahlesunnat k likhay huay tarjumay k mutabiq hai. Hmari sirf ye iltija hai k hum par aitraz krney ki bajaey agar hamarey bhai apni kitabon ko daikhen aur Quran men ye nisbat talash Karen to wo huq tak puhanch jaaen ge.
Agr is hadees k muqabil aaney wali hadis "Meray baad Nabi hota to Umer hota"
ko sahi maan bhi lya jaey to koi harj nahi. Hazoor S.A.W k baad koi nabi hota to Hzrt Umer hotey. Ab baad men koi nabi nahi hai to Hzrt Umer bhi kuch nahi hen. Doosri taraf Hazrat Ali k saath nisbat men nabuwat ki shart nahi. "tum ko mujh se wohi nisbat hai jo Haroon ko Moosa se thi magar meray baad koi nabi nahi hoga". Nisbat usi tarah rahi magar Hzrt Moosa k baad Hzrt Haroon ki tarah Hzrt Ali nabi nahi hongey leken nisbat ki waja se wazeer to hen.
Sura Tehreem Ayat no 8 darmayana hisa:
"Jis din (qayamat ), Khuda ruswa nhi honey de ga Rasul ko aur un ko jo Rasul k saath imaan laey. In ka noor in k aagey aur in k dayen doar raha hoga"
Saath imaan laaney walon k liay Ayat men "wal lazeena aamanoo maahoo" istemal hua hai.
Phir sura Aaraf Ayat no 157 aakhri hisay men hai:
". .So Jo log is Nabi par imaan laatey hen aur in ki himayat kartey hen aur in ki madad kartey hen aur is "Noor" ka itebaa kartey hen jo in k saath bheja gya. Aisay loge poori falah paaney waaley hen"
In 2 ayaat men Allah un ki baat kr raha hai jo Nabi S.A.W k saath imaan laey aur us Noor ki itebaa bata raha hai jo Rasul S.A.W k saath bheja gya hai aur itebaa krney waaley hi sirf poori falaah paaney waaley hen. Ye tarjuma ahlesunnat k mutabiq hai. Hum Ahlesunnat ki kitabon se Nabi S.A.W k saath imaan laaney waley aur Un k saath bhejey jaaney waaley "Noor" ko pehchantey hen.
Welmi ne apni kitab Alfirdos, Ibn e Manazil Waasti Shaafi ne apni kitab "Manaqib" men aur Allama Jaleel shekh salman balkhi hanfi sunni Mufti-e-aazam Qustuntunia ki likhi hui kitab "MUALIMUL ITRAT" tarjuma "YANABI UL MAWADAT" hisa 1 safha 22 par
Hazoor S.A.W ka qoal likha hai:
"Main aur Ali Allah k hazoor men aik "Noor" ki shakal men mojud thay (saath waala noor). Aadam ki khilqat se 14 hazar saal pehlay ye "Noor" Allah ki tasbeeh aur taqdees bayan krta tha (saath imaan laaney wala). Jab Allah ne Aadam ko paida kya to is noor ko Aadam ki pusht men wadiyat kar diya. Mein aur Ali barabar aik hi noor ki shakal aur soorat men rahey hataa k Allah ne hamen sulb e Abdul Mutalib men do tukron men juda kar dya. Mujh men Nabuwat aur Ali ko imamat ataa ki".
Ab hamen Saath imaan laaney waaley aur saath bhejay jaaney waley Noor ka pata chal gya jis ki itebaa sura Aaraf Ayat no 157 k mutabiq poori falaah paaney k liay zaroori hai. Ab hum zikr krtey hen Hazrat Ali AS k Wasi e Rasool Allah honey par aur kya Nabi S.A.W k baad Hazrat Ali sirf aam insaanon k liay un k khalifa hen ya un ka muqaam nabiyon se afzal hai. 1 bhi shia kitab ko haath lagaey baghair Quran aur ahlesunnat ki kitabon se ye daikhtey hen.
Sura Aal e Imran Ayat No 81 men Irshaad hai:
"(Aey Rasool) Aur yaad karo Jab Khuda ney Nabiyon say ehad liya kay jo Mein tumhen kitab-o-hikmat doon phir tumharay pass wo Rasool aaye jo tmhari kitabon ki tasdeeq karey to tum zaroor Us per imaan lana aur Us ki madad kerna. Farmaya kay kya tum ne is ka iqrar kya aur is par maira zima lya? Sab ney kaha hum ne iqrar kya. Farmaya to ab gawah raho aur khud mein bhi tumharay sath gawahon mein hun."
Sura Aal e Imran Ayat No 81 k mutabiq tmam Nabi, Hazoor S.A.W pr imaan laey hen aur un k Momin hen.
Phir Sura Ahzab Ayat No 6 pehlay hisay men Irshad hua:
"Ye Nabi mominon k un ki jaan se ziada Maalik hen."
Ayat ki Arbi hai "AlNabio Aolaa Bilmomineena min anfosihim" yaani Nabi S.A.W mominon par un ki jaan se ziada "Aolaa" hen. Arbi zaban men lafz "Maula" k 27 maani ka zikr hua hai. Un men 1 ye hai k agr koi kisi se Aolaa ho wo us ka Maula hota hai. Nabi S.A.W momineen k Maula hen aur Aal e Imran Ayat 81 k mutabiq tmam Nabi, Hazoor S.A.W k Momin hen to Nabi S.A.W tmam Anbiya k bhi Maula hen. Ahlesunnat ki hadis ki kitaben daikhtey hen. Waisay to Ghadeer e Khum pe Nabi S.A.W k kalmaat "Mun Kunt o Maula Fahaza Ali un Maula" k 360 se ziada hawaley aur 110 Sahaba se zyada Raavi hen magr sirf wo hawaley paish hen jinhon ne "Maula" ko waisay hi liya jaisay Hazoor S.A.W tmam Anbya aur Momineen k Maula hen
Ibn e Maghazali Shafi apni kitab Manaqib Ali Ibn e Abi Talib sfha 19, Khateeb Baghdadi Tareekhe Baghdad Jild 8 Sfha 592, Ibn e Asakar Taareekh e Damishq Jild 2 Sfha 75, Hafiz Sayyuti Tafseerul Anqaan Jild 1 sfha 13 aur Tafseer e Durr e Manshoor Jild 3 Sfha 19, Khwarzami hanfi Manaqib e Ameer ul Momineen sfha 80, Sabt Ibn e Joazi Tazkartul Khawaas Sfha 30, Hafiz Ibn e Kaseer Tafseer e Quran ul Azeem Jild 2 Sfha 14 aur Albidaya Walnihaya Jild 3 Sfha 213 aur Aaloosi Tafseer e Rooh ul Maani Jild 6 Sfha 55 men na sirf "Nabi S.A.W k baad Hazrat Ali AS ko momineen ka Maula bata rahey hen balkey ye bhi keh rahey hen k Sura Maaeda Ayat 67 bhi isi qoal k liay utri."
Sura Maaeda Ayat 67 men irshad hai:
"Aey Rasul jo kuch bhi aap ki taraf aap kay Rab ki janib say nazil kiya gaya hai phoncha dijiye. Agar aap ney aisa na kiya to aap ne Us (Khuda) ka paigham puhanchaya hi nahi"
Beshak Khuda e Buzurg o Bartar apni Mehboob treen hasti ko is tarah mukhatib nahi krega. Wo is Ayat men hamen ishara de raha hai k dekho agar Rasul e kainaat S.A.W ki khaloos e dil se ki gae ibadaten, Tableegh e deen, aur tamam wo museebaten jo Unhon ne Islam k liay bardasht keen ko ye kaha ja sakta hai k wo "Allah tak puhanchi hi nahi" agar unhon ne Wilayat e Ali ka iqrar na kya to aey haqeer insaan teri ki hui qaleel ibadat bagher is k iqrar k kaisay Allah tak puhanchey gi.
Categories: Ali Wasi e Rasul Allah Quran aur Ahlesunnat ki kitabon ki roshni men